Gaon Ki Beti Yojana 2026: 12th के बाद हर साल ₹5,000 की स्कॉलरशिप! जानिए पात्रता और आवेदन की पूरी प्रक्रिया
Date: 19 February, 2026 | By: Vision Info Team Dosto, Madhya Pradesh sarkar ki ek bahut hi mahatvakankshi yojana hai— Gaon Ki Beti Yojana . Iska maqsad hai ki gaon ki honhar betiyan paise ki kami ki wajah se apni graduation (college) ki padhai na chhodein. Agar aapne 12th class gaon ke school se pass ki hai aur ab college mein admission liya hai, toh aapko har saal ₹5,000 ki arthik sahayata mil sakti hai. Aaj Vision Info par hum aapko 2026 ke sabse updated niyam aur registration ka sahi tarika batayenge. ✅ कौन ले सकता है लाभ? (Eligibility Criteria 2026) Is yojana ka labh lene ke liye ye shartein poori hona zaroori hain: Grameen Niwasi: Chatra gaon ki niwasi honi chahiye aur unke paas 'Gaon Ki Beti' praman patra hona chahiye. Education: 12th class mein kam se kam 60% ya usse zyada marks hone chahiye. Schooling: 12th ki padhai gaon ke school se hi poori honi chahiye. Current Course: Chatra ne kisi bhi saskari ya private college mein Graduation (BA, BSc, BCom, etc.) me...